Hello friends aaj aapko es article me bataunga ki youtube copyright match tool enable कैसे करें ? Sath hi kuch niche diye gye points me discuss karenge :-
- Copyright match tool kya hota hai ?
- Copyright match tool ka use kaise aur kahan krte hai ?
- Ham apni kisi bhi video ko Copyright match tool ki madad se pata kar sakte hai ?
- Copyright match tool me kaun kaun se function hote hai?
- Copyright match tool kab milta hai ?
- Copyright match tool ka use kab aur kaise kar sakte hai?

YouTube Copyright match tool enable कैसे करें ?
To chaliye frds ab ham jante hai ki kaise ham copyright match tool ko enable kar sakte hai. Uske pahle aapko ye bata de ki ye tool pane ke liye koi bhi criteria nahi hai .
Jab achhe views ya atleast 2500 Subscriber aur jab aapke channel ki performance thik ho jayegi to youtube ki or se aapko COPYTRIGHT MATCH TOOL ka mail aa jayega jise aap apne channel me use kar sakte ho. Ye mujhe tab mila jab mere YouTube channel me 2500 subscriber aur din ke kam se kam 2k views aate the . Ye YouTube ki or se by defaukt sabko de diya jata hai.
Yadi aapko av tak nahi mila hai to aap feedback me jakr youtube ko mail kar sakte hai jise ki bahut hi jaldi aapka bhi enable ho jayega. To aayiye jante hai ki ise kaise enable karte hai .
- Iske liye aapko apne YouTube studio me jana hoga jaisa ki niche screenshot me dikhaya gaya hai.
- Uske baad aap waha left side monetization ke upar dekhe ki kya waha ek “COPYRIGHT” ka option dikhai de raha hoga . Yadi aapko copyright ka option dikha de raha ho toh aap ye samjh le ki ye tool aapko mil chuka hai .

Jaise hi aap COPYRIGHT me click krenge toh aapko niche diye gaye screenshot jaisa dikhai dega jisme aapko Channel copyright , Guidelines aur bahut sari jankari hongi. yadi aap chaho to ise padh sakte hai aur uske baad aap niche dekh skte hai jaha “”AGREE & CONTINUE “” ka option dikhai dega jise aap click kr sakte hai.

AGREE & CONTINUE click krte hi aapko niche diye gaye screenshot jaisa dikhai dega jisme aap dekh sakte hai kaun se video ko kisi ne download krke apne Youtube channel me kitne percentage use kiya hai . Uske baad aap chahe to use mail kar sakte hai ya video removal ke liye request bhej sakte hai.

Jiaise hi aap video removal k liye request bhejenge waise hi jisne bhi aapka video download krke upload kiya hoga use ek mail chala jayega. Bahut easily aap send kar sakte hai. Upar diye gaye video me aap dekh sakte ho ki jo koi bhi aapke hi video ko download krke apne hi channel me upload krega toh uski sari information jaise Total views, Date , Channel name with his subscriber and kitne percentage match kar rahe hai wo sara information aap dekh sakte ho.

Jaise hi aap right side me diye gaye frame me apna mouse le jawoge aapko 3 option dikhai denge “”ARCHIVE , VIDEO REMOVAL and Contact Channel “” .Jise aap jaisa chaho aap click kar sakte ho . Yadi aap ARCHIVE me click karoge toh ye Upar diye gaye archive folder me chala jayega jise aap Archive me click krke aasani se dekh sakte ho . Ye ek tarah ka Bookmark ka option hota hai.
YouTube video of copyright match tool by Technical Yogi
Thank you Technical Yogi sir for this amazing Beautiful video . Friends maine ye video bahut hi useful paya jisse main apne channel ka enable kar saka. Isliye main ye video aapke sath Share kar raha hu taki aapko bhi fayda ho jaye.
Use of COPYRIGHT MATCHING Tool
Ye feature YouTube ki or se di gayi hai jiski madad se koi bhi YouTuber pata kar sakta hai ki kaun se other YouTuber ne uski video download krke apne hi channel me upload ki hai . Es condition me aap us YouTuber se directly contact kar sakte ho mail ke madhyam se ya directly video hatane ke liye bol sakte ho. Yadi wo video nahi hatana chahe to aap use copyright de sakte ho.
2 thoughts on “YouTube Copyright match tool enable कैसे करें ?”