Es blog me ham janenge ki kaise aap Sirf 5 minute me Google analytics code WordPress ya Blogger me kaise add karen ? Bahut hi aasan tarika batane ja raha hu jiski madad se aap aasani se Google analytics code ka (tracking code) aasani se copy karke use aap blogger ya wordpress me paste kar sakte ho . Es blog me ham niche diye gaye point me discuss karenge.

- Google analytics code / Google analytics tracking code
- How to add google analytics code in wordpress / Google analytics code kaise wordpress me insert kare
- How to get google analytics code / Google analytics code kaise pata kare?
- how to add tracking code google analytics
Google analytics code WordPress ya Blogger me kaise add karen?
Google analytics code WordPress ya blogger me paste karne ke liye aapko sabse pahle Google analytics code ko pata karna hoga fir use copy karke aap use paste kar sakte ho. Yadi aapko nahi pata hai ki Google analytics code kaise pata kare ?, toh aap dhyan se es blog ko padhe. Aur yadi aapko pata hai to aap niche diye gaye process ko kar sakte hai .
Toh aayiye jante hai ki Google analytics code kaise pata kare?
Google analytics code kaise pata kare?
Iske liye aapko Google me type karna hoga ” Google analytics” , fir ye aapke gmail se redirect ho jayega. Yadi aapko nahi pata hai ki Google analytics me kaise account banate hai ? toh aapk niche diye gaye video ko watch kare fir account bana le usme aap jo bhi exsting website hai use add kar le .
Uske baad niche diye gaye process ko follow kare jise ki aap Google analytics code ko pata kar sakte hai aur use easily copy kar sakte hai. Mujhe viswaas hai ki upar diye gaye video ko dekhkar aapne Google Analytics me account kaise banaye?ye sikh liya hoga ab chaliye jante hai ki iska tracking code kaise pata kare?

- Search for Google analytics
- Jaise hi aap apne website ko add kar doge waise hi aapko samne ek dashboard dikhai dega jisme aapki website ki real time traffic dikhai degi.
- Left side corner me aapko “”ADMIN”” ka option dikhai de raha hoga. Jaisa ki upar screenshot me dikhaya gaya hai .
- Admin me aap jaise hi click karoge toh aapko niche diye gaye screenshot jaisa dikhai dega
- Ab aapko 3 sections dekhai denge jisme ki aapko Account , property and view ke options dikhai de rahe honge .
- Ab aap Property section me 3rd number pe aap “”<> TRACKING INFO”” Likha hoga jise aapko click krna hai . Jaise hi aap click karenge toh aapko ek code dikhai dega .
- Ab aap us code ko copy kar le .

8. Copy karne ke baad ab aapko blogger ya wordpress me aana hai jahan aapko edit theme karna hai .
9. Yadi aap Blogger me hai toh Edit theme me click kare aur yadi aap WordPress me hai toh “”APPEARANCE “” me jakar THEME EDITOR me click kare .
10. Click karne ke baad aapko theme ki coding open ho jayegi
11. Ab yadi aap blogger me hai toh SEARCH KARE “”<head> “” uske baad aap niche enter press kare aur jo bhi code aapne copy ki hai use paste kar de. Uske baad save theme kar de. Iske kya fayde hai aapko niche bataunga
12. Yadi aap wordpress user hai toh aapTHEME EDITOR me jakar “”Header.php” me click kare jo ki aapko right side me dikhai dega , fir see aap “”<head>””search kare uske baad jaise hi aapko ye mile toh aap Google analytics tracking Code ko paste kare. Uske baad “”UPDATE FILE “” me click kare.
Toh es tarah aap Google analytics ke tracking code ko pata kar sakte hai aur ise kya fayde hai wo mai aapko niche batata hu.
Google analytics code ke kya fayde hai?
Aapke website me kitne visiter kahan se aa rahe hai , wo direct , organic, referral ya social traffic hai ise pata karne k liye ham iska use karte hai . Iske alawa aapke website ko track krne me kam aata hai means at a time aapke website me kitne visitor hai use pata karne ya track karne ke liye ye code hame paste karna hota hai.
How to check google analytics code is working or not?
Kaise pata karen ki Google analytics code kam kar raha hai ya nahi?
Iske liye Aap ya toh Mobile application Google Analytics ka open kar le ya Googel analytics web potal open kar le. Jise ki aap jab bhi apna webaite ka open karenge ya koi bhi aapke website ko visit karega toh easily aap realtime me visitor count dekh sakte ho.
Mujhe viswas hai ki aapko ye blog achha laga hoga . aapko yadi koi bhi doubt hoti hai toh aap comment box me comment karke hame bataye. Taki ham aapki har samsyaon ka samadhan kar sake.
2 thoughts on “Google analytics code WordPress or Blogger me कैसे add करें ?”