Es article me sirf 5 minutes me aap sikhenge ki Linkedin business page kaise banaye? Iske alawa aap sikh sakte hai ki wordpress ya blogger post ko LinkedIn me kaise share kar sakte hai? Bahut si jankari aapko es blog me milegi jisme mai kuch niche di gayi topic ke bare me discuss karunga.

Linkedin business page kaise banayen
LinkedIn company page kaise banayen
- Business page in linkedin kaise banaye
- LinkedIn business page kaise create kare
- LinkedIn page me kaise blog post share kare
- Website ke liye LinkedIn se kaise traffic le sakte hai
- linkedin business page cover photo size
- How to find linkedin business page url / LinkedIn business page ka url kaise pata kare
- LinkedIn business page banane ke kya fayde hai / Benefits of LinkedIn Business page
- Kya ham apne website ke liye LinkedIn business page bana sakte hai
- Apne company ke liye LinkedIn business page kaise bana sakte hai
To aaiye aur sare questions ka jawab jante hai aur hm es blog ki madad se aapki madad krne ki puri kosis karenge.
LinkedIn business page kaise create kare ?
Linkedin me page kaise banayen ?
Aap sabhi ne LinkedIn ke bare me suna hi hoga . Yadi nahi suna toh koi bat nahi, es blog me aapko sari batein clear ho jayengi. LinkedIn ek aisa platform hai jaha aapko apne business se related bahut help mil jati hai.
Basically ise ham apne professional life ke liye use karte hai . LinkedIn ki madad se aap easily Jobs and bahut sari jankari pa sakte hai jahan dher sari job companies apni notification and vacancies share karti rahti hai .
LinkedIn me bahut sari company ki latest information mil jati hai isliye aap ise apne website ke blog post ko bhi share karne ke liye bhi use kar sakte hai.
LinkedIn me page banane ke liye aapko sabse phle isme account banana hoga jo ki baut hi easy process hai aap khud create kar sakte hai iske liye aap Googel me serach kare “” LinkedIn me account kaise banayen ? Account banane ke baad aap niche diye gaye steps ko follow kare jiski madad se aap easily LinkedIn Business page bana sakte hai.
Steps to create a LinkedIn business page/ LinkedIn Page
LinkedIn me account banane ke baad aap jaise hi home me jayenge to aapko Right side corner me aapko “”WORK “” ka option dikhai dega jise aap click krenge to ek screen open ho jayegi jaisa ki niche screenshot me dikhaya gaya hai.

- Uske baad aap sabse niche dekh sakte ho jaha + icon ke sath “”CREATE COMPANY PAGE”” likha hua hai jise aap click kare .
- Click krne ke baad ek new window open ho jayega jaisa ki screenshot me dikhaya gaya hai.

- Ab aap apne requirement ke according jo option dikhai de rahe hai use select kijia. Yadi aapki koi company hai toh uske according aap select kare.
- Yadi aapki company nahi hai but aap apne website ke liye LinkedIn page create karna chahte hai toh aap pahla option select kare “”SMALL BUSINESS” (Fewer than 200 employees)
- Uske baad aap niche dikhaye gaye screenshot ke according sara option fill kare ya aap apne requirement ke according bhi fill kar sakte hai , isme koi problem nahi hai.

- Jo bhi option aapko sahi lage uske according select karke aap fill akr sakte hai . Upar diye gaye screenshot ka bhi sahara le sakte hai.
- Yaha aap apni company ya website ka logo upload kar sakte ho jo ki dusre users ko dikhai dega. Tagline me aap apni company ka use kar sakte ho aur yadi aapka website hai to aapka website jis bhi niche based hai use likhe .
- uske baad niche dikhaye gaye screnshot ke jaise “”CREATE PAGE “” me click kare.
- Create page me click krte hi aapka page create ho jayega .

- Ab aapka page create ho chuka hai . Uske baad aap Description , Location and koi ek post add kar sakte hai. Jiske baad aapka LinkedIn Business page fully configured ho jayega.
- Ab aap apni company ya website ke liye LinkedIn page par cover photo dal sakte hai jske liye aap niche diye gaye stps ko follow kare.
Linkedin business page cover photo size
LinkedIn business page me cover photo kaise laga sakte hai?

Cover photo ek bahut hi achha medium hai aapke website ya Business ko promote krne ke liye. Isliye aap try kare ki ek achha cover photo upload kare. jiski size limit Linkedin business page cover photo size 1128px X 191px honi chahiye jise ki aapka cover photo fit ho sake.
Cover photo dalne ke baad aapka page fully prepare ho jayega uske baad aap apni company se related ya website se related koi bhi post aasani se likhe sakte hai.
How to find linkedin business page url
LinkedIn business page ka url kaise pata kare
Ab aapka page ban jane ke baad aap easily es LinkedIn page ke url ko copy kar sakte hai aur share kar sakte hai. Aayiye jante hai ki LinkedIn business page ka url kaise pata kare ya How to find linkedin business page url .
- Iske liye jo aapne page banayi hai use open kare
- uske baad aapko waha ek share ka option dikhai dega jise aap direclty aap FACEBOOK ya TWITTER me share kar sakte ho.
- Wahi par aapko “”COPY URL”” ka option dikhai dega jise aap click karke copy kar sakte hai aur kahin bhi paste kar sakte hai.
- Niche diye gaye screenshot ko dekhe .
YouTube video for LinkedIn business page kaise banaye
How To Create Company Page On LinkedIn | LinkedIn Business Page Create
Jyada jankari ke liye aap niche diye gaye video ko watch kare .
Conclusion
Mujhe bharosa hai ki aapko ye sara process achha laga hoga aur aapne apni linkedIn business page create kar li hogi .
aaoko yadi kuch bhi doubt ho toh aap comment box me comment karke bata sakte hai. Mai puri kosis karuga ki aapko dher sari informative things se related post de saku .
Yadi aapne meri website ko bookmark nahi kiya hai toh aap mere site ko bookmark kar le . Yaha mai dher sari blogging , technical aur dher sari useful information deta rehta hu.
You made some decent points there. I looked on the internet for the issue and found most individuals will go along with with your website.You made some decent points there. I looked on the internet for the issue and found most individuals will go along with with your website.
Thank you sir