
youtube monetization:-Hello friends aaj ki es blog me mai bataunga ki “Lockdown me youtube monetization kaise enable kare? Live proof”. “youtube monetization in lockdown” .
Ji haan friends mai aapko live proof bhi dunga jisme mai dikhaunga ki lockdown me hi mera channel under review me gaya aur lockdown me hi mera channel monetize ho gya, Sath hi mai ye bataunga ki “maine kaise apne YouTube channel ko lockdown me monetize kiya?
Live proof of my channel monetization in lockdown
Es monetization ke liye hmare pass koi bhi email nahi aaya ,parantu jab maine apne YouTube studio beta dekha toh upar notification me mujhe dikhai diya ek notifictaion jisme like tha “Congratulations! you have been accepted into the YouTube partner program. You can now monetize your videos and access support . Jo ki aap niche diye gye screenshot me dekh sakte ho.

Upar diye gaye scrennshot me aap dekh sakte ho date likhi hai ” jo aapko mere screenshot ke sabse niche right side me dikh jayega. Ye notification mujhe 17th April 2020 ko aaya. Jise ye proof hota hai ki mera channel monetization lockdown me hi enable hua hai .
Also read – YouTube tips ,
How to change custom url of youtube channel
Ab mai aapko aisa screenshot dena ja raha hu jise apko pta chalega ki mera channel ki 4000 watch hour bhi isi lockdown me hua tha aur sabse badi khusi ki bat ye hai ki lockdown me hi mere channel ki monetization ke liye terms and condition complete hue sath hi lockdown me hi mera channel monetize bhi hua.

Upar diye gaye screenshot me aap dekh sakte ho ki ye screenshot 27th March ki hai jise ye proof hota ki mera channel 27th march 2020 ke baad hi 4000 watch hour complete hua aur sath hi monetize bhi hua.
Mere channel ki 4000 Watch hour kab complete hua?
13th april 2020 ko mere channel ki 1000 subscriber aur 4000 watch hour complete hua. aur 17th April ko hi mera channel monetize ho gya .Isliye mai aap sabhi se yahi request karunga ki paresan na ho aap channel ko monetize ke liye bhej sakte ho . Kuch bhi tension ki bat nahi hai.
Thanks to YouTube Team members
Mai iske liye YouTube team ko thanks bolta hu because unhone ye proof kiya hai ki chahe jitna bhi problem ho , wo apna best dete hai . Aur es lockdown me bhi achhe se kam kar rahe hai . Tabhi to itni jaldi mera channel lockdown me bhi monetize ho gya.
Youtube monetization:-Jab channel under review me ho to kya kare?
Ab mai aapko ek tips batane ja raha hu jo maine kiye aur maine channel lockdown me bhi monetize hua. Dosto aapko ye karna hai ki sabse pahle yadi koi copyright video hai ya kisi bhi tarah ka clickbet kiya hai to us video ko delete kar de . Sath hi kuch bhi aisa na rakhe jo YouTube ki policy ka violation karta ho.
ALSO READ- YOUTUBE TIPS & TRICKS
Yadi aapko lgta hai ki aapke sare videos self made hai to aap dekhe 3-4 din yadi fir bhi channel monetize nahi hua to , YouTube studio me niche left side me ek feedback ka option dikhai dega . Usme click kare aur apni paresani likhe like ” sir kindly monetize my video and accept my application. Please help ” .Aur jo kuch bhi aap add karna chahte ho add kar sakte ho . Ek din me 2 baar send kare .
Yadi aapke cahnnel us monetization ke liye applicable hoga to within 1 week aapka channel monetize ho jayega. Abhi kuch technical problem hogi jiske wajah se YouTube mail nahi send kar rahi hai . Isliye aap apne YouTube studio me notification ko check karte rahe.
Complete YouTube video, How can we enable monetization in Lockdown
Thank you . Subscribe my YouTube channel
Conclusion:- Mai asha krta hu ki aapko “youtube monetization in lockdown in hindi” article achha lga hoga. Thank you.
READ ALSO :-