WordPress permalink or URL से category word remove कैसे करे

Yadi aap 10 second me WordPress URL se category word remove kaise kare ye jaan na chahte hai toh es blog ko dhyan se padhe. Jisse ki aap only 10 sec me Catogory word remove kar sakte hai (How to remove category from my wordPress Website URL) jo ki aapke category ke url me default aa jata hai. Jaisa ki niche diye gaye screenshot me dikhaya gaya hai.

How to Remove the Word Category from your WordPress URL

SEE SCREENSHOT BELOW

 WordPress URL  se category word remove kaise kare

Yaha aap upar diye gaye screenshot me dekh sakte hai URL me CATEGORY word aaya hai. Aaj ki es blog me ham janenege ki

  1. WordPress blog post ke URL se Category word remove kaise kare
  2. Category word remove karna kya jaruri hai
  3. Hamare blog post ka url kaisa hona chahaiye
  4. URL seo friendly kaise banaye
  5. SEO friendly URL kya hota hai
  6. URL se category ko hatane ke kya fayde hai
  7. Category word Remove karne se aapke site health me koi fark padega ya nahi
  8. WordPress blog post ke URL se category word remove krne se Google ki ranking me kya fayde hote hai
  9. How to remove category from my wordPress Website URL

Hamare WordPress ya blogger blog post ka url kaisa hona chahaiye

Dosto aapko pata hai ki aap kabhi bhi yadi apne kisi bhi post ko rank karna chahte hai toh ye bahut jaruri hai ki aap uske blog post URL ko acchhe se set kare nahi toh wo Google ki ranking me aana bahut hi muskil ho jata hai.

WordPress URL se Category word remove karne ka sikhane se pahle aapko ye janna jaruri hai ki kyo ye jaruri hai aur iske kya fark padte hai. Iske liye aapko URL structure ko samjhna hoga.

Dosto yadi aap koi bhi SEO pluggin use karenge toh aap to jante hi honge ki URL ki koi fix length hoti hai jise 60-70 character tak sahi mana jata hai , jisse Google me rank krne se koi problem nahi hoti hai. Aur acche se Google me crawl ho jata hai.

Yadi ham URL me unnecessary chijen rakhenge toh URL ki length badhti jayegi. Aur rank hone me problem hogi . Isliye hame iski jo Standard form hoti hai use hi use karna chahiye.

URL ya permalink kaisa hona chahiye

Permalink wordpress blog post me kaise set kare

Aap upar diye gaye screenshot me dekh sakte hai ki ye sari setting hoti hai jab aap Permalink Set karte ho toh . Isme se jo sabse achhi aur standard form of URL hoti hai wo ya to aap “”PLAIN “” form ko select kar sakte hai jise ki URL length short hoti hai .

But mai aapko and sabhi blogger and Google jo recommend karega wo hai “”5th number wala POST NAME”” settings jise click karke set krne par aapko sirf Website name ke baad aapke post ka title dikhai dega jise ki ye fully SEO friendly URL hota hai.

Chaliye a bat karte hai ki kaise aap URL ya permalink se Category word ko remove kar sakte hai ?

Steps to Remove CATEGORY word from Permalink

Permalink ya URL se kaise Category ko remove kare

How to remove category from my wordPress Website URL

Iske liye aap apne WordPress ka Admin panel open kar lijia uske baad niche process ko follow kare

  1. SETTINGS me click kare
  2. Uske baad Permalinks option me click kare
  3. Permalinks me jaise hi aap click karenge aapko COMMON SETTINGS on wordpress ka new tab open ho jayega.
  4. Uske baad upar bataye tips ke according aap apna post URL set Kar le .
  5. Ab Custom Structure ke niche aapko Category and Tag dikhai de rahi hogi
  6. Isi option me aapko kuch setting karni hai jise ki aapki category ki URL standard ho jayegi
Wordpress URL se kaise category word remove kare
  • Ab abhi jo aapko URL dikhai de raha hoga wo es tarah hoga Website URL/Category/Category name like https://www.allinoneweb.in/category/make-money-online/
  • Hame isi URL ko change krna hai aur isme se category ko hatana hai
  • Kyo ki category ke hone se URL ki length badi ho jati hai aur google ko samjhne me thodi paresani hoti hai
  • Isliye ab jaha Category base likha hua hai usme ek . (point) dekar Save changes kar de.
  • Jaise hi aap save changes karenge toh ab aap apne Category ke URL ko open karke dekhe
  • Ab Category word remove ho chuka hoga aapke URL se.

Permalink se Category word ko remove karne ke baad ab aapki category ki URL ya permalink change ho jayegi jisse aapki link open nahi hogi yadi aapki phle ki category URL Google me index ho chuki ho.

Ab aap es new URL ko Redirect kar sakte hain.Old URL ko New URL me. URL redirection ke liye ham Rank Math ya Redirection Pluggin ka istemaal kar sakte hai. Jisse ki aapke website me koi fark nahi padega aur site ki health bhi achhi bani rahegi.

Video for removing category Word from WordPress URL

How to Remove the Word “Category” from your WordPress URL or Permalink Easily video

Thanks to Tech Tutor for this beautiful useful video “”WordPress URL se category word ko kaise hatayen. Dosto mujhe jab ye useful information mila toh maine socha ki aapko es blog ke madhyam se bata diya jaye. Ye video kisi dusri language me hai . But aao isme bataye gaye process ko achhse se jan sakte hai.

Conclusion for WordPress URL se category word ko kaise hatayen

Dosto mujhe bharosa hai ki aapko ye sara process jisme maine Category word remove karne bataya , aapko samjh aa gya hoga. Dosto mujhe aapke support ki jarurat hai . Isliye kindly support kijia aur comment karke apne feedback dijia taki mera motivation badh sake. Aur ise bhi achha blog aapke liye la saku.

Iske alawa aap hamara Youtube channel visit kar sakte ho. Jahan mai bahut sari topics me video banata rehta hu. Sab aapki dua se aur aapke diye gaye motivation se hi hamare article linkhne ki motivation badhegi. Just support my dear friends.

2 thoughts on “WordPress permalink or URL से category word remove कैसे करे”

  1. आपका यह Blog बहुत अच्छा है , आपकी हर पोस्ट बहुत बढ़िया तरीके से लिखी गई है , जो बहुत आसानी से समझ आती है , मुझे आपकी ब्लॉग लिखने की क्षमता बहुत अच्छी लगी , अब मैं निरंतर आपके इस ब्लॉग पर आऊंगा, इस पोस्ट को हमारे साथ साझा करने के लिए आपका बहुत-बहुत आभार।

    Reply

Leave a Comment

x