WordPress blog post me table of contents kaise add kare?

Hello friends , aaj ki es post me main aapko batane wala hu ki “WordPress blog post me table of contents kaise add kare? How can we add Table of contents in our wordpress blog post? . Aap sirf 2 minute me isko add kar lenge . Bas jo steps mai batata hu use aap follow karte jaiye.

Main aapko sabse best ” Plugin for table of contents” batane wala hu jiski madad se aap sirf 2 minute me ise automatic set kar sakte hai . Chaliye pahle aapko main us plugin ke bare me batata hu fir aap uske setting ke bare me janenege.

Mai aapko es article me one by one bataunga jaise ki :-

  1. Sabse best plugin ” Table of Contents” ke liye kaun si hai?
  2. Table of Contents plugin ko kaise download kare?
  3. Table of contents plugin ki kya khas baat hai?
  4. Contents plugin ko kyo use karna chahiye?
  5. Table of Contents pluggin se aapke SEO me kya effect padta hai etc.

Table of contents plugin ko kaise download/install kare?

Friends “how to download or install table of contents plugin” . Iske liye aap apne wordpress ke admin panel me chale jaiye aur waha se aap plugin me click karke “add new” me click kijia. uske baad aapko search bar me type kare ” Table of Contents”. Jaisa ki aap niche screenshot me dekh rahe hai.

Table of contents plugin ko kaise activate kare?

Jaise hi aap search karenge to aapko left side me ek white color ka “ Easy Table of ContentsBy Steven A. Zahm dikh raha hoga. use hi install kare. Uske baad use activate kare , fir installed pluggin section me jakar usko open kare.

Table of Content plugin ki setting kaise kare?

Iski setting karne ke liye aap installed plugin me jaye fir setting me click kare. Uske baad bahut hi easy setting hai . Aap use jaisa look dena chahte hai , jahan bhi display karna chahate hai jaise ki aap yadi chahte hai ki “Table of contents” wahi show ho jis article me 4 ya 4 se jyada headings ho. Aap yadi chahte ho ki wo top ya below me show kare , uska color kaisa ho .

Ye sari settings aap kar sakte ho . Jo aapko thik lage uske hisab se setting kar le. uske baad save me click kar de aur apna koi bhi post open karke dekhe. Ab bataye ki kaisa look hai. Koi bhi paresani ho toh aap mujhe comment karke puchh sakte hai. Mai aapki help karunga.

READ ALSO :- mOST IMPORTANT BLOGGING TIPS

Latest update : Google AdSense app going to shutdown

2+ Best tool to compress images and optimize your website speed in hindi

Iske alawa aap kisi individual post ke liye alag se settings kar sakte ho. Aap jaha apna blog likhoge wahi par aapko ye sari setting najar aayegi. To waha bhi aap setting kar sakte hai.

Table of contents plugin kyo jaruri hai aur ise kya fayda hota hai?

Friends, Hmare post me bahut si batein likhi hoti hai but viewers ke pass itna time nahi hota ki wo sab kuch padh sake. Ho sakta hai ki user jis chij ki search me aapke post me aaya ho usko wo starting me nahi mila toh wo chala jayega. Aapke post ko skip kar dega isliye jaruri hai unko sare headings pahle se pata cahl jaye taki unko jo bhi content padhna ho wo aasani se aapke post me aa sakte hai . Isme click karte hi wo us headings me chale jayenge aur aapke content ko padh sakte hai.

Iski wajah se ” bounce rate” jo ki sabse jyada jaruri hai hamre Goggle analytics ke liye , wo kam hoti hai auu iske karan aapk post ki ranking badhti hai sath hi ye Google me rank hone me aasani hoti hai.

Leave a Comment

x